Monday, July 7, 2014

Vegetable Pakora 2

Vegetable Pakora

Ingredients:
basin 3 cup
Spinach 1 bOil
onion 2
green chili 6 (grinde)
Tomato 1
potato 1 (in small pieces )
Salt 1 table spoon
red chili 1/2 spoon
Oil for fry
Method:
First, basin add water less soft much less solid batter then mix all of the ingredients in fry and basin in oil.



Friday, July 4, 2014

Samosa recipe


Samosa recipe

==============

Samosa patti bananay kay liye:
------------------------------
Maida 1/2 kg
Ajwain 1 tsp
Namak hasb-e-zaiqa
Oil 2 tbsp

tamam ajza attay mein dal kar oil kay zarye achi tarah sakht gondh lein
thora pani mix karsakty hein magar khial rahay atta narm na ho
balkay sakht ho.

Filling k liye
---------------
Aaloo boiled
Piaaz bareek kati houi
Hari mirch bareek kutti houi 1 tsp
Lal dhara mirch (kutti howi) 1 tsp
Haldi 1/2 tsp
Namak Hasb-e-zaiqa
Zeera pisa 1tsp
Zeera sabut 1tsp
Garam masala 1tsp
Oil 2 tbsp
Sabut sookha dhania 1 tsp
hara dhania adhi gathi bareek kati howi

2 tbsp oil mein
sabat dhaniya dalein aur sabat zeera 1 minut bhoon lein
ab aanch halki karkay haldi namak mirch garam masala or baki masala daal lein
1 minut baad phir alloo cubes mein kate hue daal lein
mix karein or halki aanch par hi pakaein
phir piaaz daal kar aik minut tak rakhein
aur phir akhir mein hari mirch kati hui aur hara dhaniya daal kar mix karke
utaar lein aur thanda hone dein

akhri marhala
-------------
chotay chotay peray atay kay bana lein
puri kay size kay baraber ya us say thora sa bari roti bail lein
motai panch rupay kay sikkay kay barabar rakhien
buhat patli patti kay samosay mazay kay nahin bantay
roti ko darmian sy kaat kar do karlein
ab golai wala hisa bahar rakh kar katay walay hisay say kon ki
tarahay morrh kar usmein samosa filling dalein aur band karlein.

band karnay kay liye thora sa khush ata laikar aik bowl mein pani mix karlein
itna pani dalein kah garha (magar buhat garha nahin) sa mahlool bany
aur layyee kay tor per sides chapkanay kay lye istimal karein.

ab karahi mein Tail (itna kay samosay us mein dip hosakein) darmiani teez anch per rakhien.
tail buhat gram bhi nahin ho magar thanda bhi na ho
ab do teen samosay aik saaath karahi mein daal kar fry karien.

***log g garma gram samosay khanay kay liyay tayyar hojaayen.***

dahi podeenay ki chatni
ya alu bukharay ki chatni
ya imli ki chatni kay saath tanawaul farmein aur lutf uthhayen.

Note: masaloon ki miqdar apnay zoq kay hisab say kam ya ziada karsaktay hein.




Chana Chaat Recipe


Chana chaat recipe

****************************


Ubla howa chana 1/2 kg
ubla howay alloo cubes mein katay howy 1/2 kg
chaat masala 1 tsp

piaaz bareek kati howi 1 adad
dhaniya adhi gathi bareek kati howi
podina adhi gathi bareek kati howi
dahi baghair malai aik pao phenta hoa (250gms)
namak Hasb-e-zaiqa
lal mirch pissi 1/2 tsp
Green mirch bareek kati hoi hasb-e-zaiqa
bari paapri aik adad (paapri ki jagah samosa kya satkh hisay
andar ka masala nikal kar bhi crush karsaktay hein)

imli ki chatni bananay kay liye
---------------------------------
imli 100 gms
cheeni 1 tsp
namak 1/4 tsp
tamam ajza ko neem garam pani mein mix karkay
achi tarah meix karlein. imli ki guthlia nikal lein
agar thory khulay chaanni say chaan lein to bhi acha hay.


Rani Kabab


Recipe Rani Kabab!!

************************

Ingredients:
*************
Beef mince 250 gm
Chicken mince 250 gm
Mitchells chickpeas 125 gm
Coriander leaves ¼ bunch
Mint leaves ¼ bunch
Mitchells ginger garlic 1 tbsp
Egg 2
Onion 1
Fried onion 1
All spice 1 tsp
Green chilies 3 – 4
Almond (boiled chopped) 25 gm
Pistachio (boiled chopped) 25 gm
Salt to taste
Oil ¼ cup
Dry red chilies 4 – 5

Method:
*********
In a pan heat 2 tbsp oil, add ginger garlic paste, 250 gm chicken mince and 250 gm beef mince. Also add 4 – 5 dry chilies and fry well till mince is tender.
Now add 1 tsp all spice and salt to taste, fry well for 1 – 2 minutes.
Now turn the flame off. Put the mince mixture in chopper, also add 125 gm boiled chickpeas, 1 chopped onion, ¼ bunch of coriander leaves, ¼ bunch of mint leaves and 3 – 4 green chilies.
Chopperize well and remove mixture in a bowl.
Add in 25 gm boiled chopped almond and 25 gm boiled chopped pistachios.
Also add 1 fried onion and mix well.
Make into round patties, dip each in beaten egg and shallow fry till golden brown.



Kashmiri Kabab


کشمیری سیخ کباب
**************

اجزاء:
قیمہ ۔۔ ایک کلو 

انڈے ۔۔ دو عدد
سونف پاؤڈر ۔۔ ایک چائے کا چمچہ
لال مرچ ۔۔ ایک چائے کا چمچہ
نمک ۔۔ حسب ذوق
ادرک ۔۔ ایک چائے کا چمچہ
دار چینی پاؤڈر ۔۔ آدھا چائے کا چمچہ
زیرہ پاؤڈر ۔۔ ایک چائے کا چمچہ
پیاز ۔۔ ایک عدد
سوکھا پودینہ ۔۔ ایک کھانے کا چمچہ
مکھن ۔۔ دو کھانے چمچے

ترکیب:
قیمے میں تمام مصالحے ڈال کر مکس کر کے پیس لیں۔ پھر اس میں کٹی پیاز، انڈے اور دو کھانے کے چمچے مکھن ڈال کر مکس کریں۔ اب سیخوں میں لگائیں اور باربی کیو کرلیں۔ چٹنی کے ساتھ سرو کریں۔


Imli Aur Alu Bukharay Ka Sharbat


Imli aur alu bukharay ka sharbat



***********************************
50 gram imli
50 gram Alow Bukhara
In dono ko bhigo k rakh dy
Dono ki ghutliya nikaal k mixcher ko blend kar dy
Mixcher ma 3 spoon cheni daal dy or achi tarhA blend kar dein....
Phir 8 glass pani dal k thanda kar dein.







Thursday, July 3, 2014

Bread Roll Recipe


Bread Roll Recipe 

Visit More #Recipes#Ideas::::>>>>>http://ramzan-recipe.blogspot.com/

**************************
Ingredients:

• Double roti k slice 6 sy 8 adad
• Bharnay ka masalah 1 piyali
• Cooking Oil Talny k liye 


Bharny ka Masala 


• Aalo ka bhurta 
• Aalo ubal kar bhurta kiye hoye 2 adad 
• Namak hasb e zaiqa 
• Kaali mirch moti kuti hoi ½ chaye ka chamach 
• Hara dhaniya bareek kata hoa 2 khanay k chamach 
• Podeena bareek katahoa 1 khanay ka chamach 
• Hari mirchain bareek kati hoi 1 sy 2 adad 




METHOD :



1. Double rooti k slice ko 1, 1 kar k 4 sy paanch mint k liye paani main bhigo dain. 
2. Dono haato k beech main ek slice rakh kar achi tarha daba kar paani nichor lain. 
3. Aalo ka bhurta banany k liye tamam masalay aalo main achi tarha mila kar 10 sy 15 mint kliye fridge main rakh dain. 
4. Bhuna hoa qeema banany k liye qeemay main tamam masalay daal kar darmiyani anch per dhak kar itni dair pakaain k qeemay ka apna paani khushk hojaye. 
5. Double roti k slice k darmiyan 1 khanay ka chamach aalo ka bhurta ya bhuna hoa qeema rakh kar daba daba kar roll ki shakal main band kar lain. Phr adha ghanta fridge main rakh dain. 
6. Karhai main darmiyani anch per 3 sy 5 mint tak cooking oil ko garm kar k bread roll golden fry kar 
lain.